Sahil K.
Posted
Mera tajurba Zitask ke sath acha nahi…
Mera tajurba Zitask ke sath acha nahi raha. Maine is platform par kaafi waqt lagaya lekin mujhe koi wazeh ya khaas earning hasil nahi hui. Withdrawal ke process mein bhi mujhe masail ka samna karna para aur main apni rakam successfully withdraw nahi kar saka. Meri rai mein yahan earning zyada tar referrals par depend karti hai, jiske liye bohat zyada logon ko join karwana parta hai, jo har kisi ke liye possible nahi hota. Is liye mera mashwara hai ke koi bhi yahan time ya paisa invest karne se pehle poori research zaroor kare. Online earning ke liye aur bhi kai behtar aur trusted platforms mojood hain, is liye faisla soch samajh kar karein


